is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi daan ke paison ka istemal kaise karte hain?

yahova ke sakshi daan ke paison ka istemal kaise karte hain?

hum daan mein mile paise logon ko bible sikhane aur jahaan baadh-bhookamp jaisi koi buri ghatna hoti hai vahaan logon ki madad karne mein lagate hain. hamara khaas kaam hai logon ko yeeshu maseeh ke chele banne mein madad karna. yahi vajah hai ki hum logon ko sikhate hain aur zaroorat ke vakt madad karte hain. daan ka paisa isi kaam mein jaata hai.​—matti 28:19, 20.

hum kabhi-bhi ye paise hamare sanghathan ke kisi ek vyakti ko dekar use maalamal nahin karte. hamare yahaan paadri ya dharm-guru nahin hote jinhein tankhvah di jaati hai. aur yahova ke sakshi jo ghar-ghar jaakar prachar karte hain, unhein bhi iske liye paise nahin diye jaate. alag-alag desh mein hamare kaam ki dekh-rekh karnevale daftaron ko shaakha daftar kaha jaata hai. vahaan kaam karnevalon ko bhi tankhvah nahin di jaati. usi tarah jo log hamare sabse khaas daftar (vishva-mukhyalay) mein kaam karte hain aur jo log duniya bhar mein chal rahe sanghathan ke kaam ki nigrani karte hain (unhein shaasi nikay kaha jaata hai), unhein bhi tankhvah nahin di jaati.

hum kaun-se kaam karte hain?

  • kitabein-patrikayen taiyar karte hain: hum bible aur bible ki samajh denevali kitabein-patrikaon ka anuvad karte hain, har saal inki karodon copyaan chhaapte hain, unhein alag-alag deshon mein bhejte hain aur logon ko dete hain. in kitabon-patrikaon ke liye hum logon se paise nahin lete. saath hi, hamari jw.org website aur JW library  App par hamare prakashan digital format mein diye jaate hain. inke liye hum logon se daam nahin lete aur munafa kamane ke liye vigyapan nahin karte.

  • nirman aur rakh-rakhav karte hain: hum duniya-bhar mein aise upasna ghar banate hain jahaan hamare logon ke chhote-chhote samooh ikattha hote hain. in jagahon ka rakh-rakhav hum khud karte hain. hum shaakha-daftar aur anuvad daftar bhi banate hain aur unka rakh-rakhav karte hain. ismein se zyadatar kaam hum khud hi karte hain. isse kharcha kam hota hai.

  • kaam ki vyavastha aur uski nigrani karte hain: hamare vishva-mukhyalay mein, shaakha-daftaron mein aur anuvad daftaron mein jo kaam hota hai aur jagah-jagah safar karnevale pracharakon ka jo kharcha hota hai, woh sab daan mein mile paison se poora kiya jaata hai.

  • prachar karte hain: “parmeshvar ke vachan” ka prachar karne aur doosron ko sikhane ke liye yahova ke sakshiyon ko paise nahin diye jaate. (2 kurinthiyon 2:17) magar kuch sakshiyon ko prachar kaam ke liye khaas training di gayi hai aur woh apna zyadatar samay prachar kaam mein lagate hain. unhein rehne ke liye chhota-saa ghar diya jaata hai aur unki baaki zarooratein poori ki jaati hain. yeeshu ke chelon ke zamane mein bhi kuch pracharakon ki isi tarah madad ki jaati thi.—filippiyon 4:16, 17; 1 timuthiyus 5:17, 18.

  • sikhate hain: logon ko parmeshvar ke baare mein sikhane ke liye hum badi-badi sabhayen rakhte hain aur audio aur video banate hain. hamari mandliyon ki dekhbhal karnevale bhaaiyon (pracheenon) aur poore samay prachar karnevalon ko training dene ke liye kuch school chalaye jaate hain. in sabhi kaamon ka kharch daan ke paison se poora kiya jaata hai.

  • raahat kaam karte hain: agar yahova ke sakshi kahin baadh-bhookamp jaisi vipatti ke shikar ho jaayen, to hum unke liye khaane-peene ki cheezon ka aur rehne ka intazam karte hain. hum raahat ka yah kaam na sirf sakshiyon ke liye karte hain “jo vishvas mein hamare bhaai-behen hain,” balki unke liye bhi karte hain jo yahova ke sakshi nahin hain.—galatiyon 6:10.