kya yahova ke sakshi srishtivad (Creationism) par vishvas karte hain?
nahin. yahova ke sakshi yah to maante hain ki parmeshvar ne sabkuch banaya hai. magar woh srishtivad ki shiksha par vishvas nahin karte. kyon? kyonki bahot-se srishtivadiyon ke vichar bible se mel nahin khaate. iske liye, do udahranon par gaur keejiye:
srishti ke chhe din kitne lambe the. jab bible kehti hai ki is dharti ki srishti chhe dinon mein hui, to uska matlab yah nahin ki iska har din sirf 24 ghante ka tha. lekin kuch srishtivadi aisa hi maante hain. bible mein jab shabd, “din” istemal kiya jaata hai to iska matlab ek lamba arsa bhi ho sakta hai.—utpatti 2:4; bhajan 90:4.
dharti kitni purani hai. kuch srishtivadiyon ka maanna hai ki dharti ko bane sirf kuch hazar saal hi huye hain. lekin bible batati hai ki jab parmeshvar ne dharti par srishti karni shuroo ki, usse kahin pehle vishva, jismein dharti bhi shaamil hai, maujood tha. (utpatti 1:1) isliye jab vaigyanik kehte hain ki dharti arbon-kharbon saal purani hai, to yahova ke sakshi is baat ko galat nahin maante.
yahova ke sakshi maante hain ki is poori duniya ki srishti parmeshvar ne theek vaise ki hai jaisa bible batati hai naa ki us tarah se jaise srishtivadi batate hain. hamara maanna hai ki sachcha vigyan aur bible hamesha mel khaate hain. isliye hum sachche vigyan ka virodh nahin karte.