kya koi yah faisla kar sakta hai ki ab se woh yahova ka sakshi nahin rahega?
ji haan, ek vyakti hamara sanghathan chhodkar jaane ka faisla kar sakta hai. woh aisa do tareekon se kar sakta hai.
aupcharik taur par. ek vyakti sakshiyon ki mandli ko bata sakta hai ki ab se woh yahova ka sakshi nahin kehlana chahta. woh khat likhkar bhi aisa kar sakta hai.
apne kaamon se. shaayad ek vyakti kuch aisa kare jisse woh poori duniya mein faili bhaaiyon ki biradri se door chala jaaye. (1 patras 5:9) jaise, woh shaayad kisi doosre dharm se jud jaaye aur vaapas na aana chahe.—1 yuhanna 2:19.
tab kya agar ek sakshi prachar mein aur sabhaon mein jaana chhod de? kya iska yah matlab hai ki usne sanghathan chhod diya hai?
nahin, aisa nahin hai. sanghathan chhodkar jaana ya sakshiyon ke saath sangati na karna ek baat hai aur vishvas kamzor hona alag baat. aksar ek vyakti nirasha ki vajah se prachar mein aur sabhaon mein jaana chhod deta hai. iska matlab yah nahin hota ki usne sanghathan chhod diya hai. isliye us vyakti se door rehne ke bajay hum use tasalli aur sahara dene ki koshish karte hain. (1 thisslunikiyon 5:14; yahooda 22) agar woh chahta hai ki koi aakar usse mile, to mandli ke pracheen usse milte hain aur uska vishvas mazboot karte hain.—galatiyon 6:1; 1 patras 5:1-3.
sakshi bane rehne ke liye, pracheen kisi ke saath zor-zabardasti nahin karte. yah har kisi ka apna faisla hota hai. (yahoshoo 24:15) hum maante hain ki jo bhi parmeshvar ki upasna karta hai, use aisa poore dil se aur khushi-khushi karna chahiye.—bhajan 110:3; matti 22:37.