kya yahova ke sakshiyon ne apni khud ki hi bible bana li hai?
yahova ke sakshi kaafi samay se alag-alag bible anuvadon ka istemal karte aaye hain. lekin agar unki apni bhasha mein nayi duniya anuvad bible maujood ho to woh usi ka istemal karna pasand karte hain. kyon? kyonki usmein parmeshvar ka naam sahi jagah par diya gaya hai, uska anuvad ekdam sahi hai aur samajhne mein aasan hai.
usmein parmeshvar ka naam sahi jagah par diya gaya hai. kai bible prakashak bible likhne ka shrey use nahin dete, jise asal mein diya jaana chahiye. misal ke liye, ek bible anuvad mein 70 se zyada logon ki ek soochi di gayi hai, aur yah soochi un logon ki hai jinhonne kisi-na-kisi tarah se iske banne mein yogdan diya tha. lekin usi bible mein se, uske rachnevale yaani yahova parmeshvar ka naam har jagah se gaayab hai.
iske vipreet nayi duniya anuvad bible mein, parmeshvar ka naam hazaron baar unhin jagahon par darz hai, jahaan woh ibrani aur yoonani bhasha mein sabse pehle darz kiye gaye the. lekin jinhonne is bible ka anuvad kiya ya use chhaapa un logon ka naam gupt rakha gaya hai.
ekdam sahi. bible asal mein kya sikhati hai, yah baat bahot-se anuvadon mein sahi tareeke se nahin batayi gayi hai. misal ke liye, ek bible mein matti 7:13 ko is tarah anuvad kiya gaya hai: “tang raaste se jaao kyonki chauda hai woh raasta jo narak ki or le jaata hai aur woh raasta aasan hai.” par bible lekhak ne yahaan shabd “narak” ke bajay shabd “vinash” istemal kiya tha. to fir anuvadakon ne “narak” shabd kyon istemal kiya? shaayad isliye ki woh narak ki shiksha mein vishvas karte hain aur maante hain ki bure log narak ki aag mein hamesha-hamesha ke liye jalaye jaayenge. par bible aisa nahin sikhati. iseeliye, nayi duniya anuvad mein matti 7:13 aisa kehta hai: “sankare faatak se andar jaao, kyonki chauda aur khula hai woh raasta jo vinash ki taraf le jaata hai.”
samajhne mein aasan. ek achha anuvad na sirf sahi hona chahiye balki aisa hona chahiye, jo aasani se samajh mein aaye. ek misal par gaur keejiye. matti 5:3 ka anuvad aise kiya hai: “dhanya hain woh, jo man ke deen hain.” kehne ko yoonani bhasha se kiya yah anuvad bilkul sahi hai, magar samajhne mein mushkil hai. asal mein lekhak yahaan jo kehna chahta tha, use nayi duniya anuvad mein jis tarah bataya gaya hai woh samajhne mein aasan hai. vahaan likha hai: “sukhi hain woh jinmein parmeshvar se maargdarshan paane ki bhookh hai.”
ek aur tareeke se nayi duniya anuvad khaas hai: ise logon ko muft diya jaata hai. is vajah se aise laakhon log apni hi bhasha mein bible padh rahe hain, jinke liye ise khareedna shaayad mumkin naa hota.