yahova ke sakshi dating karte samay kin baaton ka dhyan rakhte hain?
hum yahova ke sakshi bible mein likhi parmeshvar ki aagyayen aur uske diye siddhaant maante hain. inhein maanne se hum aise faisle kar paate hain jisse parmeshvar ko khushi hoti hai aur hamara bhi bhala hota hai. (yashayah 48:17, 18) inmein se kuch siddhaant dating * se jude faisle lene mein hamari madad karte hain. yah kaun se siddhaant hain? aaiye jaanein.
shaadi ek atoot bandhan hai. (matti 19:6) yahova ke sakshi jaante hain ki dating tabhi ki jaati hai jab shaadi karni ho. isliye woh kabhi bhi maze karne ke liye dating nahin karte.
dating sirf unhein karni chahiye jo shaadi karne ki soch rahe hain. aur jinhonne “javani ki kachchi umra paar kar” li hai yaani apni laingik ichhaon par kaaboo paa liya hai.—1 kurinthiyon 7:36.
jo log dobara shaadi nahin kar sakte, unhein dating nahin karni chahiye. bible ke aadhar par ek pati-patni tabhi talak le sakte hain jab unke saathi ne vyabhichar kiya ho. (matti 19:9) fir woh chahein to dobara shaadi kar sakte hain. isliye jin logon ka kisi aur vajah se talak hua hai, woh dobara shaadi nahin kar sakte.
maseehiyon ko aagya di gayi hai ki woh sirf prabhu mein shaadi karein. (1 kurinthiyon 7:39) yahova ke sakshi yah aagya maante hain. woh usi se shaadi karte hain jo parmeshvar ki marzee ke mutabik kaam karta hai aur jisne apna jeevan use samarpit kiya hai. na ki kisi aise vyakti se jo hamare vishvas ke baare mein jaanta to hai, magar use maanta nahin. (2 kurinthiyon 6:14) parmeshvar ne shuroo se hi apne logon ko yah baat batayi thi. woh sirf unse shaadi kar sakte the jo parmeshvar ki upasna karte the. (utpatti 24:3; malaki 2:11) aaj ke kai khojkarta bhi is baat se sahmat hain. *
bachchon ko mammi-paapa ki baat maanni chahiye. (neetivachan 1:8; kulussiyon 3:20) jo bachche abhi-bhi apne mammi-paapa ke saath rehte hain, unhein dating ke baare mein unke banaye niyam maanne chahiye. jaise, woh kis umra mein dating kar sakte hain aur us vakt unhein kin baaton ka dhyan rakhna hoga.
sakshi bible ke siddhaanton ke mutabik khud tay karte hain ki woh dating kareinge ya nahin. aur agar kareinge to kiske saath. woh yah siddhaant yaad rakhte hain, “har koi apni zimmedari ka bojh khud uthayega.” (galatiyon 6:5, footnote) dating karte samay bahot se sakshi samajh se kaam lete hain. aur aise bhaai-behenon se salah lete hain jinhein zindagi ka tajurba hai aur jo dil se unki parvah karte hain.—neetivachan 1:5.
dating karte samay naajayaz yaun-sambandh rakhna aam ho gaya hai. lekin parmeshvar ki nazar mein yah ek gambheer paap hai. udahran ke liye, bible aagya deti hai ki hamein har tarah ke anaitik kaam se door rehna chahiye. jaise, jo log shaadishuda nahin hain, unka yaun-sambandh rakhna, ek-doosre ke gupt angon ko sahlana aur mukh-maithun ya guda-maithun karna. (1 kurinthiyon 6:9-11) ismein woh kaam bhi shaamil hain jo shaadi se pehle uthnevali laingik ichhaon ko kaaboo karne ke liye kiye jaate hain. inhein bible “ashuddhta” ke kaam kehti hai. aur aise kaamon se parmeshvar ghrina karta hai. (galatiyon 5:19-21) iske alava, hamare munh se “ashleel baatein” bhi nahin nikalnee chahiye.—kulussiyon 3:8.
ek insan ka dil ya man sabse bada dhokhebaz hota hai. (yirmayah 17:9) yah use aise kaam karne ke liye behka sakta hai jo woh jaanta hai ki galat hain. isliye dating karte samay sakshi akele mein nahin milte taaki woh kuch galat na kar baithein. woh sab logon ke saamne milte hain ya baahar jaate vakt nigrani ke liye kisi teesre ko apne saath le jaate hain. (neetivachan 28:26) jo sakshi shaadi karne ki soch rahe hain woh jaante hain ki online dating karne ke kya khatre hain. isliye woh aisa kuch nahin karte aur na hi kisi aise vyakti ke saath romani rishta rakhte hain jiske baare mein woh sabkuch nahin jaante.—bhajan 26:4.
^ para. 1 kuch sanskritiyon mein dating karna aam baat hai, lekin sabhi mein nahin. bible yah nahin kehti ki shaadi se pehle dating karni hi chahiye ya iske bina aap shaadi nahin kar sakte.
^ para. 5 misal ke liye, marriage and family review naam ki angrezee patrika mein bataya gaya tha: “un logon par teen alag-alag adhyan kiye gaye jinki shaadi ko 25 se 50 saal ho chuke hain. is adhyan se pata chala ki ek shaadi tabhi lambe samay tak tik sakti hai jab pati-patni donon ishvar par vishvas karte hon, ek hi dharm ko maante hon aur dharm ke baare mein unke vichar milte hon.”—volume 38, ank 1, page 88 (2005)