kya yahova ke sakshi apna ilaj karvate hain?
ji haan, yahova ke sakshi apna ilaj karvate aur zaroori davaiyaan bhi lete hain. hum apna khyal rakhte hain aur achhi sehat banaye rakhne ki poori koshish karte hain magar kabhi-kabhi hamein doctor ya “vaid ki . . . zaroorat hoti” hai. (luka 5:31) pehli sadi mein luka naam ka ek maseehi doctor tha, jo logon ka ilaj kiya karta tha. usi tarah aaj yahova ke kai sakshi doctor hain.—kulussiyon 4:14.
kuch ilaj karne ke tareeke bible ke mutabik sahi nahin hain, isliye hum aise ilaj nahin karvate. misal ke taur par ilaj ke liye hum khoon nahin chadhvate kyonki bible khoon lene se mana karti hai. (preshiton 15:20) usi tarah bible aise ilaj ke liye bhi mana karti hai, jismein kisi bhi tarah ka jaadoo-tona shaamil hai.—galatiyon 5:19-21.
fir bhi, ilaj karne ke aise bahot-se tareeke hain jo bible ke mutabik galat nahin hain. har kisi ko apne ilaj ka tareeka chunne ka hak hai. isliye ho sakta hai ki ek yahova ka sakshi jis ilaj ke tareeke ko apnaye, vahin doosra sakshi koi aur tareeka apnaye.—galatiyon 6:5.