yahova ke sakshi kya maante hain?
hum yahova ke sakshi maseehi hain. hum yeeshu ki shikshaon ko maante hain. hum vaisa hi karne ki koshish karte hain jaise yeeshu ne bataya tha, theek jaise shuroo mein uske shishya karte the. is lekh mein bataya gaya hai ki hum kya maante hain.
ishvar. hum maante hain ki ek hi sachcha ishvar hai jisne sabkuch banaya hai. uska naam yahova hai. (bhajan 83:18; prakashitvakya 4:11) purane zamane mein abraham aur moosa jaise nek jan yahova ko hi apna ishvar maante the. yeeshu ne bhi usi ko apna ishvar maana.—nirgaman 3:6; 32:11; yuhanna 20:17.
bible. bible 66 kitabon se milkar bani hai, ismein “purana niyam” aur “naya niyam” shaamil hai. hum maante hain ki ishvar ne poori bible hum insanon ke liye likhvai thi. (yuhanna 17:17; 2 timuthiyus 3:16) hum jo bhi maante hain woh bible par aadharit hota hai. logon ke dhaarmik vishvas par adhyan karnevale professor jason d. beduhn ne likha ki yahova ke sakshi “bible mein chhaanbeen kiye bagair pehle se tay nahin kar lete ki bible falan baat sikhati hai. iske bajay, bible mein jo likha hai, theek usi ke mutabik shikshayen dete hain aur kaam karte hain.” *
hum maante hain ki poori bible parmeshvar ka vachan hai, magar hum yah nahin maante ki ismein likhi har baat ka shaabdik matlab hota hai. ismein aisi kai baatein aur kai shabd hain jinka laakshanik matlab hai.—prakashitvakya 1:1.
yeeshu. hum yeeshu ke nakshekadam par chalte hain aur uski shikshaon ko maante hain. hum yah bhi maante hain ki yeeshu hamara uddharkarta hai aur ishvar ka beta hai. (matti 20:28; preshiton 5:31) isliye yah kehna sahi hoga ki hum maseehi hain. (preshiton 11:26) hamne bible se seekha hai ki yeeshu sarvashaktiman parmeshvar nahin hai aur bible mein kahin bhi triyek ki shiksha ka zikra nahin hai.—yuhanna 14:28.
parmeshvar ka raaj. kuch isaiyon ka maanna hai ki parmeshvar ka raaj unke dil mein hai. lekin bible ke mutabik yah sachmuch ki ek sarkar hai jo swarg se hukoomat karegi. yah sarkar duniya ki sabhi sarkaron ko hata degi aur iske baad dharti par vahi hoga jo ishvar chahta hai. (daaniyel 2:44; matti 6:9, 10) aisa bahot jald hoga kyonki jaise bible mein pehle se likha tha, aaj hum is buri duniya ke “aakhiri dinon” mein ji rahe hain.—2 timuthiyus 3:1-5; matti 24:3-14.
yeeshu parmeshvar ke raaj ka raja hai. usne 1914 se raaj karna shuroo kar diya hai.—prakashitvakya 11:15.
uddhaar. yeeshu ne hamare liye apni jaan kurban ki thi. uski kurbani ki vajah se hamein paap aur maut se chhutkara milega. (matti 20:28; preshiton 4:12) lekin yah chhutkara paane ke liye hamein yeeshu maseeh par vishvas karna hoga. hamein apne taur-tareeke bhi badalne honge aur baptisma lena hoga. (matti 28:19, 20; yuhanna 3:16; preshiton 3:19, 20) ek vyakti apne kaamon se dikha sakta hai ki woh yeeshu maseeh par vishvas karta hai. (yakub 2:24, 26) lekin hum sirf nek kaam karke uddhaar nahin paa sakte. hamein “parmeshvar ki maha-kripa” se hi uddhaar mil sakta hai.—galatiyon 2:16, 21.
swarg. yahova parmeshvar, yeeshu maseeh aur vafadar swargdoot swarg mein rehte hain. * (bhajan 103:19-21; preshiton 7:55) yeeshu ke saath 1,44,000 insan swarg se raaj kareinge.—daaniyel 7:27; 2 timuthiyus 2:12; prakashitvakya 5:9, 10; 14:1, 3.
dharti. ishvar ne dharti isliye banayi hai taaki yah hamesha insanon se aabad rahe. (bhajan 104:5; 115:16; sabhopdeshak 1:4) bahot jald dharti khoobsoorat bageeche jaisi ho jaayegi. tab vahaan sirf un logon ko jeene ka mauka milega jo parmeshvar ki baat maante hain. woh fir kabhi beemar nahin padeinge aur hamesha tak is dharti par jeeyenge.—bhajan 37:11, 34.
dukh-takleefein. bible batati hai ki bahot pehle parmeshvar ke ek swargdoot ne uski baat nahin maani aur uske khilaf kaam kiya. (yuhanna 8:44) tab se duniya mein dukh-takleefein shuroo huin. us swargdoot ko “shaitan” aur “iblees” kaha gaya hai. usne duniya ke pehle stri-purush aadam aur havva ko parmeshvar ke khilaf jaane ke liye bahkaya. aur usne daava kiya ki insan parmeshvar ke bagair khush reh sakta hai. jab woh donon shaitan ki baaton mein aa gaye, to anjam bahot bura hua aur aaj tak insanon par dukh-takleefein aa rahi hain. (utpatti 3:1-6; romiyon 5:12) shaitan ke daave ko jhootha saabit karne ke liye parmeshvar ne kuch vakt ke liye dukh-takleefein rehne di hain. lekin woh jald hi inhein khatm kar dega.
maut. jo log mar jaate hain unka vajood poori tarah mit jaata hai. (bhajan 146:4; sabhopdeshak 9:5, 10) kai log maante hain ki bure logon ko narak ki aag mein tadpaya jaata hai. magar bible ke mutabik narak jaisi koi jagah nahin hai.
bahot jald parmeshvar karodon logon ko zinda karega. (preshiton 24:15) fir unhein yahova ke baare mein seekhne ka mauka diya jaayega. lekin jo log uske baare mein seekhne se inkar kar deinge unhein hamesha ke liye mita diya jaayega.—prakashitvakya 20:14, 15.
parivar. parmeshvar ne shuroo mein tay kiya tha ki ek aadmi ko sirf ek aurat se shaadi karni chahiye. hum bhi yahi maante hain. agar pati-patni mein se ek jan kisi paraye ke saath sambandh rakhe, to hi woh talak le sakte hain. (matti 19:4-9) hamein poora yakeen hai ki agar pati-patni aur bachche bible mein di salah maanein, to woh khush raheinge.—ifisiyon 5:22-6:1.
upasna. hum kroos ya kisi bhi moorat ki pooja nahin karte. (vyavasthavivran 4:15-19; 1 yuhanna 5:21) aage batayi baatein hamari upasna ka hissa hain:
parmeshvar se prarthna karna.—filippiyon 4:6.
bible padhna aur use achhi tarah samajhna.—bhajan 1:1-3.
bible se seekhi baaton ke baare mein gehrai se sochna.—bhajan 77:12.
saath milkar prarthna karna, bible ka adhyan karna, geet gaana, ishvar se judi baaton par charcha karna aur ek-doosre ki himmat bandhana.—kulussiyon 3:16; ibraniyon 10:23-25.
parmeshvar ke “raaj ki khushkhabri” sab logon ko sunana.—matti 24:14.
zaroorat ki ghadi mein logon ki madad karna.—yakub 2:14-17.
raaj-ghar (jahaan hamari sabhayen hoti hain) aur aisi doosri imarton ka nirman aur rakh-rakhav karna jahaan hamare sanghathan ka kaam chalta hai.—bhajan 127:1.
raahat kaam mein haath batana.—preshiton 11:27-30.
hamara sanghathan. hum chhote-chhote samoohon mein milte hain, jinhein mandliyaan kaha jaata hai. harek mandli ki dekhrekh karne ke liye kuch pracheen hote hain aur unhein is kaam ke liye tankhvah nahin the jaati. hamare sanghathan mein paadri nahin hote jaise charchon mein hote hain. (matti 10:8; 23:8) hum na to kisi ki kamai ka dasvaan hissa maangte hain, na hi apni sabhaon mein thailiyaan ghumakar chanda ikattha karte hain. (2 kurinthiyon 9:7) hamare kaam ka kharch logon ke daan se chalta hai aur kaun kitna daan karta hai, iski koi ghoshna nahin ki jaati.
kuch anubhvi maseehiyon ka ek chhota-saa samooh hamare vishva-mukhyalay mein kaam karta hai. unhein shaasi nikay kaha jaata hai. woh poori duniya mein rehnevale yahova ke sakshiyon ko nirdesh dete hain.—matti 24:45.
ekta. poori duniya mein yahova ke sakshi ek-jaisi shikshaon ko maante hain. (1 kurinthiyon 1:10) hum sab logon se ek-jaisa vyavahar karte hain fir chahe woh kisi bhi jaati, sanskriti ya tabke se kyon na hon. (preshiton 10:34, 35; yakub 2:4) haalaanki hum sabhi ek-jaisi shikshaon ko maante hain, lekin har kisi ko apne faisle khud karne ki aazadi hai. hammein se har koi bible se seekhi baaton ke aadhar par faisle karta hai.—romiyon 14:1-4; ibraniyon 5:14.
hamare usool. hum koshish karte hain ki sabke saath pyar se rahein aur unke bhale ki sochein. (yuhanna 13:34, 35) hum dhyan rakhte hain ki aisa koi kaam na karein jisse parmeshvar naaraz ho. yahi vajah hai ki hum ilaj mein khoon nahin chadhvate. (preshiton 15:28, 29; galatiyon 5:19-21) hum sabke saath shaanti se rehne ki koshish karte hain aur yuddhon mein hissa nahin lete. (matti 5:9; yashayah 2:4) hum sarkar ke kaanoon maante hain, lekin agar sarkar hamse kuch aisa karne ko kahe jo parmeshvar ke kaanoon ke khilaf ho to hum woh nahin karte.—matti 22:21; preshiton 5:29.
doosron ke saath hamara vyavhar. yeeshu ne apne shishyon se kaha tha, “tum apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.” par usne yah bhi kaha ki maseehiyon ko is ‘duniya se alag’ rehna chahiye. (matti 22:39; yuhanna 17:16) isliye “hum sabke saath bhalai” karne ki koshish karte hain, lekin raajneeti ya doosre dharmon se koi naata nahin rakhte. (galatiyon 6:10; 2 kurinthiyon 6:14) rahi baat doosre logon ki, woh raajneeti aur dharm ke maamle mein chahe jo maanein, hamein usse koi etraz nahin.—romiyon 14:12.
agar aapke man mein yahova ke sakshiyon ke baare mein kuch aur saval hain, to aap hamari website par hamare baare mein aur padh sakte hain ya fir hamare kisi shaakha daftar se sampark kar sakte hain. aap chahe to apne ilake ke raaj-ghar mein bhi aa sakte hain jahaan hamari sabhayen hoti hain ya fir seedhe kisi yahova ke sakshi se baat kar sakte hain.
^ para. 2 anuvad mein sachchai (angrezee) kitab ka page 165 dekhiye.
^ para. 6 kuch swargdoot bure ho gaye the, isliye unhein swarg se nikaal diya gaya.—prakashitvakya 12:7-9.