agar main aapke saath bible ka adhyan karoon, to kya mujhe bhi yahova ka sakshi banna padega?
nahin, yah zaroori nahin. poori duniya mein laakhon log hamare saath bible ka adhyan karte hain, lekin har koi yahova ka sakshi nahin banta. * is adhyan se hum aapko bas itna batana chahte hain ki bible kya sikhati hai. iske baad aap yahova ke sakshi baneinge ya nahin yah faisla aapka hai. har kisi ko yah chunne ka hak hai ki woh kya maanega aur kya nahin aur hum is baat ki kadar karte hain.—yahoshoo 24:15.
kya main adhyan karte vakt apni bible ka istemal kar sakta hoon?
zaroor. vaise to hamein pavitra shastra ka nayi duniya anuvad istemal karna achha lagta hai kyonki iska anuvad hamare zamane ki bhasha mein kiya gaya hai. aap chahein to, hum aapko yah bible muft mein de sakte hain. lekin agar aap apni bible se adhyan karna chaahtein hain, to hamein koi etraz nahin. bible mein aanevale samay ke baare mein jo aasha di gayi hai aur hamare uddhaar ke baare mein jo bataya gaya hai woh kisi bhi anuvad se seekha jaa sakta hai.
jab aap jaante hain ki har koi yahova ka sakshi nahin banega, to fir aap kyon unhein sikhate hain?
-
iski sabse badi vajah hai ki hum parmeshvar yahova se pyar karte hain. woh chahta hai ki hum doosron ko bhi woh baatein sikhayen jo hamne seekhi hain. (matti 22:37, 38; 28:19, 20) hamare liye isse bada aur koi samman nahin ki hum “parmeshvar ke sehkarmi” bankar doosron ko bible ki sachchai sikhayen.—1 kurinthiyon 3:6-9.
-
hum apne padosiyon se bhi pyar karte hain. (matti 22:39) bible se jo badhiya baatein hamne seekhi hain unke baare mein doosron ko batane mein hamein behad khushi milti hai.—preshiton 20:35.
^ para. 1 aapki jaankari ke liye hum aapko batana chahte hain ki 2022 mein har maheene 56,66,996 logon ne hamare saath bible ka adhyan kiya, lekin unmein se sirf 1,45,552 log hi us saal yahova ke sakshi bane.